Arieb Azhar - Husn-e-Haqiqi  

Posted by Asad Wahab in



Lyrics of Arieb Azhar - Husn-e-Haqiqi

tanuu badal barkha dajj kahoon
tanuu bijli ta baran kahoon
tanuu aab kahoon
tanuu khak kahoon
tanuu baad kahoon
weeran kahoon
tanuu dsurat lej manram kahoon
tanuu seeta ji janan kahoon
baldev ka souta naun kahoon
tanuu kishn kahenaya kan ... kahoon
tanuu bhrama kishna ghannsih kahoon mahadev kahoon bahgwan kahoon
tanuu geet ka rang tay byaihd kahoon
tanuu bhyann kahoon agyan kahoon
tanuu ibrahim hawahishees kahoon
tanuu nooh kahoon toofan kahoon
tanuu ibrahim khilil kahoon
tanuu moosa bin imran kahoon
tanuu har dil da dildar kahoon
tanuu ahmad alishaan kahoon
tanuu shahihd malk hijaz kahoon
tanuu bahis kaun makaan kahoon
tanuu nazz kahoon andaaz kahoon
tanuu hoor pari walmaan kahoon
tanuu.. nauog kahoon
tanuu toug kahoon
tanuu surkhee bedaaa paan kahoon
tanuu tabla tay tamboor kahoon
tanuu dholkal sur tay tan kahoon
tanuu husn-te har singar kahoon
tanuu ashawa ghamza aan kahoon
tanuu ishq kahoon
tanuu illam kahoon
tanuu waham yakin gumaan kahoon
tanuu husane da v idrrak kahoon
tanuu zouk kahoon wajhdan kahoon
tanuu sadar kahoon
sadraan kahoon
tanuu hairat hairaan kahoon
tasleem kahoon
talveen kahoon
tmkeen kahoon
irfan kahoon
tanuu sumbal soo sand sard kahoon
tanuu nargis nafarman kahoon
tanuu lale adaagh ta bagh kahoon
gulzar kahoon
ustaan kahoon
tanuu lale adaagh ta bagh kahoon
gulzar kahoon
ustaan kahoon
tanuu khanjar teer toofang kahoon
tanuu barcha baang sanaan kahoon
tanuu teer fairang kaamaan kahoon
soofar kahoon
beepan kahoon
bairang kahoon
bemisal kahoon
basurroot har har aan kahoon
sukdoor kahoon
qudooos kahoon
rehman kahoon
subhan kahoon
aray tobaa dard Farid sadaaa.... har shea nu par Nuksaan kahoon
tanuu bohut alag be Aib kahoon
tanuu haq be nam.nishaan kahoon
tanuu bohut alag be Aib kahoon
tanuu haq be nam.nishaan kahoon

 

Posted by Asad Wahab in


Tumhein Kaisy Batayein Hum
Muhabbat Aur Kahani Mein Koi Rishta Nahi Hota
Kahani Mein
To Hum Wapis bhi Atay Hain
Muhabbat Mein Palatney Ka Koi
Rasta Nahi Hota
Zara Socho!
Kabhi Dil Mein Kharashein Daltii Yaadon Ki Saffakii
Kabhi Daman Se Liptii Hay
Kisi Bhooli Hui Saa'at Ki NumNaaki
Mujhay Dekho...
Mery Chehrey Par Kitnay Mausamon Ki Gard Hay
Aur Iss Gard Ki Teh Mein
Samay Ki Dhoop Mein Rakha Hua Ek Aayina
Aur Aayiney Mein Taa Hadd-e-Nazar Tak Phaily
Muhabbat ke Sitarey Aks Ban Kar Jhilmilatey Hain
Nayii Duniyaoon Ka Rasta Batatey Hain
Lakeeron Mein Kahani Hay
Kahani Aur Muhabbat Mein Azal Se Jung Jari Hay
Muhabbat Mein Ek Aisa Morr Ata Hay
Jahan Aa Kar Kahani Haar Jati Hay
Kahani Mein To Kuch Kirdaar Hum
Khud Farz Kartay Hain
Muhabbat Mein Koi Kirdaar bhi
Farzii Nahi Hota
Kahani Ko Kayii Kirdaar
Mil Jul Kar Kahin Aagay Chalatey Hain
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Khud
Aagay Barhatii Hay
Kahani Mein Kayii Kirdaar Zinda Hi Nahi Rehtay
Muhabbat Apney Kirdaron Ko Marney Hi Nahi Deti
Kahani ke Safar Mein
Manzaron Ki Dhool Urrti Hay
Muhabbat Ki Musafat RaahGeeron Ko
Bikharney Hi Nahi Deti
Muhabbat Ik Shajar Hay
Aur Shajar Ko Iss Se Kya Matlub
ke Iss ke Saye Mein Jo bhi Thaka Haara
Musafir Aa ke Baitha Hay
Ab Iss Ki Nasl Kya Hay, Rung Kaisa Hay
Kahan Se Aaya Hay Kis Simt Jana Hay
Shajar Ka Kaam To Bas Chhaon Dena
Dhoop Sehna Hay
Isay Iss Se Garaz Kya Hay
Parrao Dalney Walon Mein Kis Ne
Chhaon Ki Taqseem Ka Jhagrra Uthaya Hay
Kahan Kis Ehad Ko Torra,
Kahan Waada Nibhaya Hay
Magar Hum Jantey Hain
Chhaon Jab Taqseem Ho Jaye
To Aksar Dhoop ki Naizey
Rag-o-Pay Mein Utartey Hain
Aur Iss k Zakhm Khurda Log
Jeetay Hain Na Martay Hain...!!!